Momal Sheikh is daughter of seasoned actor Javed Sheikh, her brother Shahzad Sheikh is also into acting. Here is a recent interview from sunday magazine of Urdu Daily Dunya done by Nosheen Naqvi
Interview content in roman urdu
Moomal Sheikh
Nazuk khadokhaal ki haamil adakara aur model momal sheikh showbiz ki cham-chamati dunya mein aik khobsurat izafa hain. Who basilayehat funkaar javed sheikh ki sahibzaadi hai apnay waalikd ko behtareen adakar maanti hain, lekin waalid ka sahara lekar naam nahin banana chahteen, balkay apnay talent kay bal per aagay barhnay ki khawahish rakkhti hain, guzishta dinon hum nay moomal sheikh say aik mulaqat ki jiss mein unhon nay saadgi kaay saath intinahyee khoobsoorat guftugu ki, jo paish e khidmat hai
Q: showbiz mein kesay aanay huwa, kahin waalid sahib to iss field mein aanay per raazi nahin kiya
MS:na hi abu nay kaha na hi mein nay kabhi socha tha showbiz field join karon gi lekin qismat phhir bhi iss taraf lay aayee. Mujhay log shakal o soorat ki wajah say aksar kaha kartay thay kay mein modeling karoon lekin mein nay kabhi iss baat per tawajah nahin dee thi. Taahu shadi kay baad showbiz join karnay ki umang dil mein jaagi to mein nay apnay shohar sey ijaazat maangi unhon nay razamandi ka izhaar kar diya yoon mein nay kaam ka baqayeda aaghaz kar diya. Isliye naa is mein abu ka israr huwa na hi meri koi planning
Q: kaam apni salahyeton ki wajah say mila ya sheikh sahib ki wajah say hosla afzayee ki gayee
MS: mein shru mein camera kay samnay aanay mein jhijhak mehsoos karti thi aik program ki mezbani ki to yeh jhijhak aahista aahista kam huwi iss kay baad aik sitcom kiya iss mein meri adakari ko siraha gaya. Toon yeh silsila chal nikla. Abhi tak paanch telefilms, aik sitcom aur chhay serials kay ilawa mutadid modeling assignments kar chuki hoon. Aur yeh sab kaam sirf mujhay khud apni wajah say mila hai. Baray baray funkaron kay bachay is field mein sirf isliye nakaam ho jaatay hain kay unhain apni salaheyton say zyada apnay waledain kay taluqat per bharosa hota hai to is silsilay mein yehi kahon gi, screen per kissi say kuchh chhpa nahin reh sakta , aap jo bhi hain sab ko nazar aa jaata hai. Isliye yeh kehna ghalat ho gaa kay yahan kisi taaluq kayliye koi kissi ki hosla afzayee karta hai. Mujhey khud yeh soch kar achha lagta hai kay meray waalid ki is field mein izzat hai lekin kabhi unkay taaluqat ko istimal nahin kiya haan lekin log unki wajah sey izzat kartay hain.
Q: filmon mein kaam karnay kay hawalay say kiya iraday hain
MS: jahan tak filmon mien kaam karnay ki baat hai to mera filhal filmon mein kaam karnay ka irada nahin hai mustaqbil ka kuch keh nahin sakti. Kyonke mujhay laga hai ab kuchh behtar filmain ban-na shru huyee hain lekin jaisi routine mein ban rahi hain un mein kaam karnay ka mera hosla nahin hai.
Q: pasandida funkar konsay hain
MS: mein nay har aik kay kaam ko dekh kar kuchh na kuchh seekha hai . har funkar ki apni ahmiyat hoti hai . mein career kay iss mor per nahin hoon jahan kisi kay kaam per tanqeed kar sakoon kyonke abhi to mujhey bohat saara kaam seekhna aur aagay jaana hai. Isliye itnay bhi saathi iswaqt tv industry mein apni jaga bana chukay hain who qabil tareef hain aur dunya bhar mein hamaray tv kay funkaron ko siraha jata hai.
Q: aapkay nazdeek husan aur khobsorti kay mayar kiya hai
MS: insaan agar andar say khobsorat aur khush mizaj hai to meray nazdeek yehi asal khoobsorti hai. Aap ka chehra aur husan jitna qudrat kay qareeb ho ga utna hi aap haseen hon gay, mein nay logon ko haseen honay ki khwahish mein paaglon ki tarah koshishain kartay dekha hai lekin mera yaqeen hai khuda nay hum sab ko hi khoobsorat banaya hai isliye agar zaahir ki bajaye baatin ko chamkayen to zyadah behtri aa sakti hai.
Q: doosron ki shakhsiyat mein kis cheez say mutaasir hoti hain
MS: achhi guftugo muhay mutaasir karti hai. Zahanat aur aqal saamnay waalay ki guftugu say hi zaahir hoti hai
Q: aayenah dekhnay kay baad aik soch jo hamesha aati ho
MS: yehi soch aati hai kay khuda nay achhi shakal o soorat di hai
Q: kiya is sach ko jhutlaya jaa sakta hai kay Pakistan ki faishon , tv ya fashion industry per Indian culture kay saaye hain
MS: bilkul sahih hai humari industry per Indian culture kay saaye hain. Mein khud is baat say mutafiq hoon. Hum unkay andaz mein pehan-nay, aurhnay aur jeenay ka andaz dikhanay mein fakhar mehsoos kartay hain , humaray gharon ka nizam bhi ussi siqafat say mutaasir hota jar aha hai. Bohat say channels to chal hi issi agenday per rahay hain kay pata hi nahin chalta kay kahan say humari had khatam hoti hai aur unki shru ho jaati hai, lekin sirf bura kaam nahin ho raha hai, hum bohat sanjeeda naweeyat kay takhliqi dramay bhi bana rahay hain to woh logon ko yaad reh jaatay hain. Humain yeh yaad rakhna ho ga kay hum Pakistani hain, humari pehchan alag hai jisay Indian culture mein zam karnay mein jumain khatra hai
Q: dunya kay funkar mukhtalif mulkon mein kaam kar rahay hain ,humaray funkar is moqa say fayeda nahin uthha patay. Is ki kiya wajah hai
MS: kyonke humaray haan funkaron ko yahan kaam hi nahin milta to who apnay aap ko kesay polish kar kay bayenul iqwami satah per mutaarif karwa saktay hain. Yeh aik sanjeeda masla hai jin logon nay yahan behtreen kaam kiya, unhon nay baahir bhi apna aap manwa liya. Humaray paas bohat si aisi roshan masalin bhi hain. Isliye humain sanjeedgi say yahan mowaqeh peda karnay ki zaroorat hai. Takay hum bayenul iqwami satah per apnay funkaron ko mutaarif karwa sakain
Q: apni zindagi ki kamyabi kiya samjhti hain
MS: mein abhi uss manzil say door hon jahan mein yeh keh sakoon kay mein kamyab ho gayee hoonk kamyabi kay hasool kayliye koshaN hoon
Q: kiya humaray funkaro kay liye training academy ki zaroorat hai
MS: bilkul bohat zyada zaroorat hai, kyonke dunya bhar mein funkar training kay zariye apni khamiyon per qabu paa letay hain humain bhi jald ya badair aisay idaray banana parain gay. Is kaam mein taakheer ki wajah say humara bohat saara talent zaaya ho raha hai
Q: aapkay waalid apki mashwaron yaah tanqeed say nawaztay hain yaa nahin
MS: meray waalid sahib kabhi bhi meray kaam per asar andaaz nahin hotay. Mujhey abhi tak jitna bhi kam mila hai apnay talent kay bal botay per mila hai. Mera bhai aur mein jo bhi kar rahay hain apni madad aap kay tehat kar rahay hain. Abu nay kabhi kisi kay paas ja kar humaray liye sifarish nahin ki aur na hi who sifarish per yaqeen rakhtay hain unka kehna kay talent ko sifarish ki zaroorat nahin hoti. Jahan tak acting tips ki baat hai to unhon nay kabhi acting tips nahin deen haan meri waalida mera aur meray bhai kaa kaam ghor say dekhti hai aur batati bhi hain kay kahan behtari ki jaa sakti hai aur mazeed behtari kesay mumkin hai. Sab jaantay hain meray waalid aik bohat hi manjhay huway funkar hain is hawalay say dekha jaye to hum donon behan bhaiyon say kuchh ghair maamoli perform karnay ki tawaqa ki jaati hai . yoon hur assignment humaray liye aik imtihan hoti hai hum apnay waalik kay paye kay adakar to shayed na bun sakain lekin unkay bachay honay kay naatay hum per aik bhaari zimadari aayed hoti hai . baaqii jitna bhi kaam mil raha hai poori lagan aur mehnat kay saath kar rahi hoon
Q: shohar ki taraf say kabhi pabandi kaa saamna karna para
MS: kabhi bhi nahin, koi bhi orat shohar kay tuawun kay baghair ghar say baahir kaam nahin kar sakti, mein nay jesay pehlay hi bataya kay mein kaam ka aaghaz shaadi kay baad kiya hai to zaahri baat hai kay shohar ki khoshi aur marzi kay saath mein is field mein hoon
Q: future planning kiya hai
MS: munfarid kaam karna chahti hoon. Apni shinakht banana hai. Abhi filmon mein kaam karnay kay hiwalay say koi irada nahin hai lekin agar mustaqbil mein achhay kaam ki offer hoyee to dekhon gi.
Rashid Nazir Ali