Meera’s proposal to Imran Khan is a cheap publicity tactic says Javed Miandad

Former cricketer and test captain Jave Miandad has termed the proposal of filmstar Meera to Imran Khan as a cheap publicity tactic while talking in the program Bolain Kiya Baat Hai on Geo Super.

Javaid said, in our society there is a proper decorum to propose someone, the way Meera expressed her proposal is nothing but a cheap publicity tactic. Though Imran is my friend for past forty years but marriage is his personal issue. Meera should not have openly proposed Imran Khan in front of whole media. Javed further added matters of marriage are quite significant which should not be handled irresponsibily. Marriage is a personal matter of Meera and I am no one to advise meera on this but the way she has behaved is not decent. To earn cheap publicity she presented herself to imran to marry, no it is not the way to proceed. With such childish behavior Meera also tried to defame Imran Khan. If I keep myself in place of Meera, I feel ashamed of myself. If Meera seriously wants to marry Imran than instead of publicizing on media the proposal must be sent gracefully as per general norms of our society.

Reference news excerpt from Urdu Daily Jang.

nat6

JM
Javed Miandad

Here is whole content in Roman Urdu

cricket team kay saabiq qomi kaptaan javed miandad nay kaha kay rishta bhejnay kay aadaab hotay hain adakara meera nay imran say shaadi ka izhaar kar kay sasti shohrat haasil karnay ki koshish ki hai.
imran khan meray 40 baras puranay dost zuroor  hain magar shaadi unkaa niji moammla hai. adakara meera ko is tarah awaam mein aa kar imran say shaadi ka izhaar nahin karna chahiye thaa.
pakistan kay pehlay niji sports channel geo super kay program bolain kiya baat hai mein mezbaan naseem rajpoot say guftugu kartay huway aalmi shohrat yaafta balay baaz nay kaha kay shadi kay moamlat bohat ahmiyat rakhtay hain unhain iss tarah saray aam tamasha nahin banaya jaata.

adakara meera jiss say bhi shaadi karain unki marzi mein kon hota hoon unhain roknay waala magar jo tareeqa meera nay apnaya woh shaista nahin tha. unhon nay sasti shohrat haasil karnay kay liye khud ko imran say shaadi kay liye paish kar diya, unhain aisa nahin karna chahiye thaa.

imran khan ki apni aik izzat hai iss tarah adakara meera nay unki saakh ko nuqsaan pohchanay ki koshish ki hai. mein agar khud ko meera ki jagah rakh kar sochon to sharam aati ha. meera ko bhi agar shaadi ki khawahish hai to bajaye zamanay mein dhindhora peetnay kay izzat mandana tareeqay say rishta bhejna chahiye aur yehi humaray muashray kay tiqazay hain

 

Rashir Nazir Ali

Rashid Nazir Ali