Family Interview of Nauman Ejaz and Rabia Nauman

Family interview of Nauman Ejaz from sunday magazine of Urdu Daily Dunya, done by Nausheen Naqvi.

Nauman Ejaz is a leading and famous actor. Nauman started his career from television and films in late 1980’s. With his flawless acting skill he is ruling the television screen.He recently won the HUM TV award for best actor male and Lux Style awards best male actor for terrestrial dramas.  Nauman is married to Rabia and has three sons. Rabia had also worked on television for few years.

NE1

NE2

Here is whole content in roman urdu

tabiyataN romantic insaan hoon, larayee jhagray say door bhagtaa hoon Nauman Ejaz

jab yeh family ko waqt nahin detay to khhat pat hoti hai. Rabia Nauman

nauman ejaz kaa shumaar Pakistan kaay baaselaheyat aur khobsurat funkaron mein hota hai who Pakistani dramay ki zaroorat aur pehchan hain uss say barh kar yeh keh un kaa naam aatay hi zehan mein mayari dramay kaa zehan mein aana fitri saa lagta hai . who jo kirdaar bhi kartay hain uss kaa hissa ban jaatay hain . jiss ki wajah who yeh samajhtay hain ka unki tarbiyat ptv kay sunehri daur mein huwi. Un ki ahleya rabia nauman nay bhi chand dramaon mein adakaari ki aur apni salahiton ko aazmaya lekin uss kaay baad gharelo masroofiyat ki wajah say showbiz ko khairbaad keh diya. Nauman munfarid funkarana salahiton kaay haamil hain is ski aik wajah yeh bhi kahi jaa sakti hai kaay who aam funkaron ki tarah taaleem say bhaag kar funkaar nahin banay balkay LLB graduate hain . isliye baton aur cheezon ko dekhnay kaa nazriya doosron say mukhtalif hai. Garchay nauman kehtay hain key meray waledain mujhey doctor banana chahtay they kyon un dinon teen chaar hi aisay peshay thay jinhain log apnay career kaay taur per apnanay ko tarjeeh detay they aur medical kaa shoba unn mein say aik thha. Jab meray baray bhai nay aLLB kaa imtehan paas karnay kay baad practice kaa aaghaz kiya to mein nay bhi yeh faisla kiya kay mein bhi medical ki bajaye wakalat kay shobay say munsalik ho jaon lahaza mein ny Punjab university mein daakhla liya. Wakalt ki taleem mukamal karnay kay baad 1988 mein hidayatkaar nusrat thakur kay aik drama mein mukhtasir kirdar say apnay career ka aaghaz kar kay kamiyabiyon kaay zeenay ko chhoo liya. Nauman aur rabia kay teen betay hain jin ki shraratain dekhnay say taaluq rakhti hain.. haal hi mein is khoobsurat joray say un kay bachon samait mulaqat ki is doraan honay waali guftugu paishay khidmat hai

Q: showbiz mein aamad shoq kaa nateeja hai?

NE: mera yaqeen hai kaay hum wohi kaam accha kar saktay hain jis kay liye hamain banaya gaya hota hai mein aap ko bataoon mujhey news caster ban-nay kaa choq thaa aur acting kee to koi planning hi nahin kit hi balkay bilkul ittefaqiya is field mein aa gaya. 1988 mein mujhey pehli baar aik drama serial mein samina peerzada kaay saath kaam karnay ka moqa mila jiska naam din thha (muskaratay huway) mujhey yaad hai kay mera scene sirf 50 seconds kaa tha aur mujhey sirf aik dialog bolna thha lekin mein nay yeh karna bhi qabool kiya kyonke mujhey pata thaa kaay agar qismat nay mera saath diya to zindagi mein iss shobabay say munsalik honay kay baad mein bohat aagay chala jaon gaa aur phir uss kay baad mein nay peechhay palat kar nahin dekhha apni mehnat aur koshish kay bal-botay per aagay hi barhta chala gaya.

Q: aik dialog ki entry kay waqt hi aap nay is field ko baqayeda profession bananay ka soch liya tha

NE: apnay aik dialog ki adayegee kay baad mein nay is shobay ko tab tak mukamil tor per apnay mustaqbil ka hissa nahin banaya jab tak drama dasht manzar-e-aam per nahin aaya. Yeh who mor thaa jis nay meray mustaqbil kay faislay ko bilkul final kar diya aur mein nay maan liya kay tv kay saath hi munsalik honay mein hi ab meray liye behtari hai

Q: uss degree ka kiya bana j mehnat say haasil ki gayee thi

NE: taleem kabhi zaya nahin jaati naa hee aap yeh keh saktay hain kay degree koi aisee cheez hai jo aap haasil kar kay kissi dabay mein band kar kay rakh sakhtay hain balkay yeh har lamhay aap kucch bhi kar rahay hon aap ka saath deti hai aur rehnumayee karti hai. Mein jo kucch bhi hoon apni taleem ki wajah say hi hoon

Q: kis kay kaam nay mutaasir kiya

NE: hamaray haan koi academy nahin hai jahan say hum acting seekh sakain lekin humaray paas seniors ki soorat mein itna zarkhaiz sarmaya mojood hai kay agar hum fayeda uthayen to hamaray naye funkaron ko apnay kaam mein koi kami nahin millay gee, mein nay acting duleep kumar yaa shahrukh say nahin seekhhi balkay hamaray paas dunya kaay qabil funkar mojood hain . mein nay shafi Muhammad aur talat hussain jesay funkaron kay sath kaam kartay huway un kay kaam ki oonch neech ko dekha unki performance kay style aur craft say apnay kaam kay liye raastay mutayeen kiye

Q: TV industry mein kiya kami mahsoos kartay hain

NE: meray mutabiq agar TV industry thori si munazim ho jaye to yeh zyada khush-hal ho jaye gi. Aaj kal private productions kaa riwaaj aam ho gaya hai lekin iska matlab hargiz bhi yeh nahin hai kay private productions kaa meiyarbohat aala hai balkay unka tareeqa kaar bhi tasali bakhsh nahin hai aur yeh industry kayliye nihayat nuksaan deh hai . industry kaa har shaks sirf shohrat aur naam haasil karnay kay peechhay hai jiski wajah say asal fun kay liye mohabbat aur seekhhnay kaa jazba khatam ho gaya hai

Q: filmon mein bhi aap nay qismat aazmayee ki lekin phir doori ki kya wajah hai

NE: humari industry ka bohat bara almiya hai kay hamaray haan acchi filmain nahin banteen ab bohat shor utth raha hai kay meiyaari filmain ban-na shru ho gayeen hain  yeh chand project hain industry to waheen ki waheen hai hamari filmain kin logon aur kis class kay liye banti hain koi nahin jaanta acchi film banay to zuroor kaam karon gaa. Ab hum itnay seniors to hain kay kam az kam kaam kaay hawalay say hum apnay shayeeqeen ko kiya dikha rahay hain uskay chunao mein samajhdaari kaa muzaahira karain

Q:production kay meiyaari honay mein kiya aiham hai paisa yaa qabliyat

NE: industry ki baqa aur taraqi kay liye meiyaari qabliyat ki zaroorat hai lekin iss kay liye bohat saari maali imdaad bhi zaroori hai jissay hum nazar andaaz kartay hain agar adakaaron ko unki mehnat kay mutabiq muawza millay to who bhi apnay kaam mein mazeed jaan daalnay ki koshish karain gay

Q: fazool kharch hain yaa kanjoos

NE: is ka inhisaar iss baat per hai kay meray paas pesay kitnay hain kyonke agar meray paas faalto paisay hone to mein dil khhol kay kharach karta hoon aur agar pesay hisab kitab kaay hon to bohat soch samajh kay kharach karta hoon kyon kaay meray biwi bachay hain zimadaarian hain bhai ghar bhi sambhalna ho to khud hi kharach per control ho jaata hai

Q: showbiz mein naa hotay to

NE: to jo mein wikaalat parhi hai who kar raha hota

Q: pehli job kiya kit hi kitna check mila aur kesay kharach kiya

NE: jab Lahore mein horse and cattle show laga karta thaa to uss mein aik baar mein nay aik stall lagaya thaa zindagi ki pehli job to yeh thi. Showbiz ki pehli job jesay mein nay bataya kay 50 seconds kaa aik scene kiya thaa jiskaay 1500 rupaay milay they aur unkay kharach honay kaa to pata bhi nahin chala thaa moj masti mein ura diye thay.

Q: kabhi kisi funkar yaa saathi adakaar say jalan mehsoos huwi

NE:khuda ka shukar hai khuda nay mujhey khwahish aur soch say bhi zyada nawaza hai. Mein nay kabhi  bhi is darja izzat aur shohrat ka tasawur nahin kiya tha jitni khuda nay muhey di hai aur us ki wajohaat mein say shayed bari wajah yehi hai ke mein apnay kaam say kaam rakhhnay wala aadmi hoon kabhi kissi say jalan ka tasawar nahin kar sakta

Q: Pakistani dramon mein bharti culture kay khilaaf aawaz kyon nahin utthatay

NE: hum funkar jo is trend ko ghalat samajhtay hain woh zyada se zyada yehi kar saktay hain kay aisay dramon mein kaam na karain meray dramon kay baaray mein aap aisa nahin keh sakteen kay woh star plus sey mutaasir yaa mutaasira dikhhayee detay hain. Asal mein hum log takhleeqi kaam say bhaagtay hain jo kaam kiya huwa mil jaye yaa jis kaam per zyada mehnat naa karni paray ussay chalatay huway accha mehsoos kartay hain. Jesay ab hamain imported dramon ki bemaari lag gayee hai to aisay bukhaar hamain charhtay rehtay hain aur khushi ki baat yeh hai kay utartaay bhi rehtay hain. Isliye mein yeh keh sakta hoon kay hamara drama bohat strong hai, yahan kisi ki chhaap mustaqil nahin lag sakti. Asal beymari bari taadaad mein non professionals say bharay channels hain, jin ko kaam ka pata hi nahin hai. Mein nay apnay career ki ibtida mein in logon kay saath kaam kiya hai unn logon say seekha hai jin kay naam sun kar aaj bhi rongtaay kharray ho jaatay hain ab to tv ka meiyaar chal chalao waala ho gaya hai. Jub hum apni khaamiyan door kar lain gay to khud bakhud hi bhaarti culture jesi bemaariyon say hamain nijaat mil jaye gee

Q: aap yahan bohat kaamyaab hain, khobsurat hain aik behtreen hero kay meiyaar per pooray utartay hain aapko bhaarti filmon ya dramon say koi offer ho rahi hai ya nahin

NE: (hanstay huway) meri samajh say bahir hai kay log kesay munh bhar kay keh detay hainkay ji mujh sey falan Indian producer ya director naa raabta kiya hai, itnay saalon mein mujhey to kissi nay nahin kaha kay bhai tumharay baghair humari industry adhoori hai, yahan chalay aaoo, humaray funkaar khud wahan jootiyan chatkhanay jaatay hain, jo kamyab ho jaatay hian unko mein isliye sirahon gaa kaay wahan itnay muqablay ki fizza mein bhi who apna naam aur muqaam banana mein kamyaab ho gaye hain. Is mein haraj koi nahin hai agar funkar doosray mulkon mein jaa kar kaam karain lekin afsoos tsb hota hai jab hum apnay asal per samjhotay ker letay hain.

Q: manfi roles aapki zindagi mein zyada hotay jaa rahay hain iss kay peechhay kiya moharkaat hain

NE: mein aik funkaar hoon, har tarah kay roles kar raha hoon, jo producer yeh samajh kar mujh say raabta karta hai kay mein manfi kirdaar ada karkay munfarid lag sakta hoon, mein bas uskay eitmaad per poora utarta hoon. Logon nay meray munfi kirdaron say bhi itni hi mohabat ki hai jitney meray musbat chehron say, hamaray samaj mein manfi chehray bohat zyada ho gaye hain, isliye logon ko unsay bachanay kay liye zaroori hai kay hum tv ko bator mazboot medium istimaal karain iss say behtari aaye gi

Q: comparing ka shoq kesay ho gaya

NE: mein program mazaq raat ko bohat enjoy kar raha hoon, is tarah bohat say logon say mulaqat bhi ho jaati hai aur hansi hansi mein gehri baatain bhi ho jaati hain, humari poori team bohat acchi hai. Jub mujh say is program kayliye raabta kiya gaya to mein aam routine ka program nahin kar sakta thha jesay aaj kal har channel per funkaar lagay huway hain isliye script parha to mujhey munfarid laga aur mein nay haami bhar li. Idea bhi hit ho gaya to bas program chal para. Mein mukhtalif tarah kaay kaam karna chahta hoon aur jab tak ho rahay hain karta rahoon gaa

Q: jo ab tak kar chukay hain unn mein say favorite character

NE: mein kaam enjoy karta hoon acting meray liye bohat aiham hai isliye mein nay apna poora kaam hamesha baray dil aur pyar say kiya hai, khawah aik scene ka character ho yaa pooray serial ka sab kirdaar mein nay imaandaari aur khushi say nibhaye hain, kissi aik kaa intekhab nahin kar sakta.

Q: chhuti ka din kesay guzartay hain

NE: family kaay saath waqt guzaarta hoon aur agar koi kaam naa ho to poora din bistar say hi nahin nikalta kyonke family kay saath guzarnay kayliye aur pooray haftay kaay kaam karnay kay liya ak hi din milta hai

Q: koi aisa lamha jo aap zindagi bhar nahin bhula saktay

NE:hab meri shaadi huwi aur mein nay nikah naama per sign kiye yeh who lamha hai jo mein kabhi nahin bhula sakta aur jab meray bachay huway to teenon ki pedayesh ka har lamha mujhey yaad hai

Guftugo kay iss mor per jab nauman ejaz hamain industry ki khoobiyon aur khaamiyon say agaah kar rahay thhay to nauman kis begum mrs raabia bhi humari guftugu mein shaamil ho huween, jis say baat nauman ki professional life say zaati zindagi ki taraf mur gayee. rabia aur nauman kay darmiyan zehni hum ahangi aur aik doosray ko jan-nay ki silayeehat doosron per bohat jald ayaan ho jaati hai.

Hum nay unn say unko chhoti si khoobsorat love story sun-nay ki khwahish ka izhar kiya

Q:pehli mulaqat kab aur kesay huwi

Rabia Nauman: mein jab pehli baar nauman say mili to mein uss waqt college mein parhti thi colledge ki drama society nay inko aik Q&A session kay liye campus mein mad-oo kiya tha aur iss nay mjhey pehli baar wahin dekha. Uss kay baad iss nay meri aik dost say mujh say yeh poochhnay kay liye kaha kay kiya yeh meray saath baat karna pasand karain gee aur mein nay nauman ki is tajweez ko mukamil tor per mustarad kar diya (hanstay huway) doosray lafzon mein, main nay issay mujh say door rehnay kay liye kaha

Nauman: jahan tak mujhey yaad hai rabia nay mujh say yehi ilfaaz kahay thay kay mujh say door raho aur yeh meray liye kaafi takleef deh baat thi lekin kahani yahen khatam nahin huwi, mein nay koshish jaari rakkhi aur aakhir shaukat kahnum kay liye aik taqreeb mein chunda jama karti rabia say yeh bhi pooch liya key kiya who mujh say shadi karay gi? Iss per rabia nay mujhey apnay waaledain say baat karnay ka kaha so mein nay unn say baat karnay ka faisla kar liya. Jab main rabia kay ghar jaanay kay liye tayaar ho raha thaa to meray dad nay mujh say poochha kay mein kahan jaa raha hoon? Mein nay unhain bataya kay mein unki honay waali bah okay ghar interview kay liye jaa raha thaa. Meray dad nay mujhey best of luck keh kar ghar se bheja. Meray ghar waalay iss baat per razamand thay key mein apni pasand ki larki say shaadi karna chahta hoon

Q: aapkay ghar walay aasani say maan gaye

Rabia: meray waalis aasani say raazi honay waalay nahin they. Isliye mein nay nauman say kaha kay main uss waqt tak iss say shaadi nahin kar sakti jab tak who koi acchi nokri naa dhoonday  kyonke meray waledain kay nazdeek acting koi mustaqil paisha nahin thaa

Nauman: (qehqaha lagaatay huway) to phir honay waalay dulhay na nokri dhoondhna shru kar di kal tak jo mera autograph maangtay thay aur mujhey chai ki paishkash kartay thay aaj mein unn say kaam maang raha tha. Akhir kar rabia ki naani amman ki madad say mujhey aik company mein bator marketing manager 15000 rupay mahwaar per nokri mil gayee. jis ka injaam yeh huwa jab hum apnay honey moon per gaye to mein nay yeh nokri chhor di kyonke mera maqsad poora ho chukka thaa

Q: showbiz kabhi wajah ikhtilaaf bana

Rabia: main inkay profession ki izzat karti hoon balkay mein nay khud bhi thora bohat kaam kiya hai to mein iss profession kay taqazay kissi had tak samajhti hoon lekin yeh bhi sach hai kay kabhi kabhaar nauman kaa kaam bara azaab-e-jaan ban jaata hai jab yeh family kay liye na honay kay brabar  waqt nikaal paatay hain . yeh hamain time denay ki behad koshish kartay hain , phir bhi kayee baar aisa hota hai kay yeh hamain time denay ki behad koshish kartay hain phir bhi kayee baar aisa hota hai key yeh hamain bohat sey dinon kay liye nazar nahin aatay lekin in tamam baton kaay bawajood hum saath bohat khush hain

Q: shohrat haazil karna zyada mehnat talab kaam hai yaa ussay qayeme rakhhna

Nauman: shohrat haasil karnay kaa baad ka safar zyada mushkil hai kyonke ab rab nay aapko aik zimadaari sonp di hai aur aap nay ussay qayeme rakhhna hai bachana hai aur uss mein izaafa karna hai

Q: bachon ki shirarton ko hans kar bardasht kar letay hain yaa daant detay hain

Rabia: nauman ki wajah sey to bachon ko qabu karna hi mushkil ho jaata hai . yeh to shirartain karwatay hain aur merin bechaari control karti karti villain ban jaati hoon

Q: donon mein say larayee jhagraa karnay ki aadat kis ko hai aur pehlay manaata kon hai

Nauman:aadatan nahin zarooratan lartay hain aur zyada mein hi manaata hoon

Rabia: hum bohat zyada nahin jhagartay, jis ki ghalati ho who mana leta hai

Q: donon mein sey zyada fazool kharach kon hai

Rabia: nauman zyada fazool kharach hain main soch samajh kar pesay kaa istimaal karti hoon

Q: kabhi nauman ki jaib say bina bataye paisay nikalay hain

Rabia: wesay is ski kabhi zaroorat hi nahin paree. Nauman zaroorat sey zayadah meri aur bachon ki zarooraton kaa khayal rakkhtay hain

———————

Rashid Nazir Ali

Rashid Nazir Ali