Ups and downs of life of Jiya Ali – ایک در بند ہوتا ہے تو سو در کھلتے ہیں

Interview of Jiya Ali, from Urdu Monthly Magazine Gourmet Khawateen, done by Mahnoor.

Jiya Ali started her career from modelling by working in beauty salon of then Musarrat Aamir ‘Saante’. However her name came in press for a scandal associated with Saante and Musarrat Aamir openly accused her for the cause of breakup with her husband. Afterwards Musarrat Aamir became Musarrat Misbah and started a new journey with new salon named ‘Depilex’, and Jiya Ali continued her career in modelling.

Her first on screen appearance was as heroine in film Deewane Tere Pyar Ke in 1997 opposite Moammar Rana. Deewane Tere Pyar Ke was the most successful film of 1997 and it established Moammar Rana career as a leading hero in coming years. However despite huge success Jiya Ali had not received any offer for a new film from a big banner. Her other films Nakhra Gori Daa, Dil Diwana Hai were not much successful. Subsequently Jiya pursued acting on television and modelling where she established herself especially in modelling.

ja1

 

ja2

ja3

ja4

ja5

ja6

 

Here is content in roman urdu

Aik dar band hota hai to so dar khultay hain

film aur modelling ki duniya mein aagay hi aagay barhnay waali jiya ali kee zindagi kaay utaar charhaoo

uss nay apna bachpan paanch bhaiyon kaay saath hanstay khailtay qeh-qahay lagatay aur laraiyan kartay guzara. ussay hamesha afsoos rehta hai kay woh apni taaleem mukamil nahin kar saki lekin woh yeh bhi jaanti hai ussay zamanay naay kitabon say kahin zyada sikhha diya thha. ussay zindagi mein milnay walon dukhhon nay kam ummri mein mature kar diya thha. woh paach bhaiyon mein sab saay bari thee aur waalid kaay saath ibtadayee saalon mein libya, iran aur italy jaisi jaghon kaay baad pakistan mein mushaqat bhari zindagi kay liye hamawaqt tayaar!!! woh maan baap kaay khyaloon saay ain mukhtalif kam-umri kee shadi kay khilaaf hi na thee balkay uss kay dimagh mein faishon industry apnanay kaa junoon bhi thaa aur yehi ussay ‘sante’ tak laay gaya lekin uss jaga saay zindagi mein aisa scandal mansoob huwa kay uss nay muashray say chhupnaay ki bajaye aagay hi aagay barhtay jaanay ki shahrah per qadam rakha aur phir shorat naay ussay thham liya woh aik mash-hoor model aur filmstar bani lekin uss ka kehna hai kay kucch log saari zindagi apna bachpan nahin chhortay aur na hee apnay rishtay tortay hain

Bachpan nahin chhoot-ta

kucch log aisay hotay hain jinkaa bachpan tamam umar unkay saath rehta hai. mera bachpan bhi mujh saay kabhi nahin chhoota. meri pedayesh kaa din 23 may hai aur janam parchi per mera naam munaza mushtaq hai lekin mujhay ghar mein bachpan hi saay jiya kay naam saay pukara gaya. shayed issi liye mein jiya saay bohat maanoos hoon. mein aik aisi aam middle class family ki bari beti thi jahan paach bhaiyon kaay saath khoob dhama-chokri rehti. aba chon-kay bata shoe company ki marketing mein thaay isliye zindagi kaay ibdatayee saal libya aur yoonaan kaay jazeeron per guzray. 1980 mein aba italy kaay shehar rome mein apni job mukamil karkaay hamain pakistan laay aaye. hum sab behan bhai saint marry mein parhtay thhay joonhi mein naay matric kiya ammie abba ko bilawajah meri shaadi kaa khayal aaga ya. unhoon naay zabardasti mangni kee koshish ki lekin mein zabardasti modelling ki taraf aanay kay liye ‘sante’ pohanch gayee. khuda jaanay mujhay kyon independent honay aur khud kamanay kaa shoq thaa. mein bachpan hi saay mature thi. bhaiyon kaay saath dosti naay tom boy bana diya. bhayin kaay saath group ki wajah saay hi larkiyon kaay saath zyadah dosti naa ho saki. bas aik do hamsaya larkiyon saay dosti thi jin mein saay aik kaay saath baad mein rishtay daari bhi ho gayee. meray teesray number waalay bhai javaid kee shaadi uss say huwi jo mashAllah khush-haal zindagi guzaar rahay hain mujhey yaad hai aba ko kabhi bhi fashion life pasand nahin thi. unhon naay mujhey sante join karnay ki ijazat to daay di lekin abhi bhi aba kaay khayal mein beti ko job karna koi khaas achha fail nahin thaa. woh to amiie kaay saath aur bharosay naay mujhe kabhi thanknay naa diya aur wesay bhi aba ki bemari aur apnay aap ko ghar kaa bara samajhna meray andar ehsaas zimadaari peda karnay kayliye kaafi thaa lekin yeh ajeeb zimadari kaa ehsaas thaa kaay ham behan bhaiyon ki mastiyan na khatam honay waali daastan banti jaa rahi theen. hum sab aapis mein isqadar attached thay kay kabhi kabhi ammir aur aba hamari mukhalif team hotay. zindagi shayed issi tarah hanstay kheltay guzar jaati agar meri zindagi mein sante beauty parlour waala haadsa naa huwa hota. mera waldain kaa musarrat aapa per bohat yaqeen aur bharosa thaa aur unhain meray kaam aur modelling kaay hawalay saay har ijazat the. mein subah saat bajay saay raat no bajay tak kaam karti, haan kayi logon naay film ki offer di, modelling kay liye kaha lekin musarrat aap kabhi hosla afzayee nahin karti thee. mujhey yaad hai sahar sehgal ki khwahish thi kay woh mujhey apni london waali shop kayliye saath laay jaye aur mujhey apnay faishon house ki home model banaye lekin musarrat aapa ki bahanay baaziyan shrou ho gayeen kaay shayed unkay haath say aik model nikal jayee gee lekin haath sey to woh nikal hi gayee. bay-inteha sansani khaiz scandal kaay baad mein nahin keh sakti woh kiss ki wajah say huwa lekin meray sar per case ban kar woh kaafi arsay lataktaa raha. phir mein bohat sabar azmaa shab-o-roz dekhay lekin mujhey kisi ki perwa nahin thi kyonkay meri family meray saath thi. mera bachpan meray saath thaa. meray yaqeen hai kay agar aap ki family ke jarain mazboot hoti hai to aap ghar nahin chhortay apnay rishtey nahin tortay. mein naay naam kamaya paisa bhi zindagi mein aaya lekin main nay family ko nahin chora. mein nay showbiz ki be-shumar larkiyon ko family kay badlay pesay kay peechay bhagtaay huway dekha hai lekin aakhir unhain lotnaa para hai. meri jarain mazboot theen kay mein family per har acchay buray waqt mein unkay saath thi mein bhi wa-shagaf kehti hoon key mein naay apna bachpan kabhi nahin chhupaya. family aur khaas tor per bhaiyon kaay saath understanding nay mera ghar bikhharnay nahin diya, meri pedayish 23 may ki hai aisay log bachpan saay hi mature hotay hain aur saari zindagi bachpan nahin chhortay. meray star gemini kay log kuch cultured kuchh independent aur har waqt learning process mein rehtay hain jesay mein har waqt kucch naya karnay ki koshish karti rehti hoon. chonkaay mein ghar mein bari thi aur thi bhi larki isiliye meray saaray laad pyaar maan baap kaay saath thay. jab woh naa rahay to saari zimadaari mujh per aa gayee. ali mera chhota bhayee jab abaa juda huway to sirf saat saal kaa thaa aur ammie jab chali gayeen to woh gyarah saal kaa thaa ab itnaay chotay bachay ko dekhti yaa apnay aaap ko. aaj saaray bhai Allah kay fazal saay apnay apnay paon per kharay hain aur mein aaj bhi ali kaay saath poora poora din games khailtee hoon

Mera Mushkil Waqt

mein naay sante mein bohat kam waqt mein bohat kucch seekha, subah saat bajay saay laykar raat no bajay tak makeup kaay hawalay saay har tarah kaa kaam, hata-kay modeling ka aaghaz bhi musarrat aapa nay hee karwaya aur uss kay baad filmon kee offers bhi aayen. syed noor sahib naay film kayliye kahan lekin uss waqt inkaar karna para kyonkaay ghar waalon naay showbiz kaay hawalay saay sirf musarrat aapa ko permission di huwi thi. sahar sehgal ki offer bhi haath saay nikal gayee thi. phhi un logon kaay family problems naay mujhey scandal mein ghaseet daala. woh waqt meray liye aur meri family kay liye bohat kathan thha . mein uss waqt aik na bayan kee janay waali takleef aur aziyat mein mubtala thi aur lahore jesay baray shehar mein akeli par gayee thi. ghar mein har waqt daant-dapt kaa mahol rehta thha. maan jazbaati tor per saath thhen lekin dard ka elaaj nahin thaa. us waqt ehsaas huwa taleem mukamil hoti to kitna accha hota chand lamhon kay liye college kaay baray mein socha lekin phhir private parhai kee koshish ki magar baat naa bani. kehtay haan naay kay mushkil waqt aapko bohat kucch sikkha deta hai. bas is mushkil naay apnay own per jeena sikhha diya mein ghar waalon ko chor kar rawalpindi naani kaay ghar chali gayee. yahan aa kar mujhey ehsaas huwa mujhey pindi bohat pehlay chalay aana chahiye thaa. isliye kaay yahan meri kamiyabion kaa naya daur shru huwa. marriot hotel kay liye pindi kaay aik akhbar mein ishtihaar chhapa mein naay wahan apply kar diya . nadia adwani kaay husband naay mera interview kiya lekin unhon naay mujhey na pehchaana halankey musarrat aapa kaay hawalay saay sab ko pata thaa. mujhey marriot mein job mil gayee aur mein unkay parlor kee manager thee. mulk ki mash-hoor beautician nabila wahan ptv ki buticians ko classes denay aayen to unhon naay mujhey daikh kar saath  karachi mein kaam karnay ki offer ki woh saaray scandal saay agaah theen. yaheen saay meri dosti saadia aur aaliya imam saay huwi. saadia nabila kaa commercial karnay karachi jaa raheen thi, tab bohat saay logon kaa khayal thhaa kay mujhey karachi chalay jaana chahiye. lekin mein apni ammie ki aik bi baat baar baar dohraati kaay jab aik darwaza band hota hai to so darwazay khhul jaatay hain. meray liye so darwazay to khhul rahay thhay lekin uus mushkil waqt mein bohat saaray logon kaa pata bhi chala kaay kon saath hai kon kamar mein chhuri maarnay wala hai. musaarat kaay paas paisa thaa power thhe aur mujhey jhoota, mauqa parast aur be-faiz bana diya gaya thha jabkaay mein jaanti thi ke aik din sab kay samnay sach aaye gaa. mein naay munh mein loud speaker nahin lagaya khamoshi saay lahore kay hangamon aur roshniyon saay door ho kar apnay kaam mein magan ho gayee , takleefain uthain lekin aik umeed thee jo qayeem thi kaay insha ALLAH waqt kaay saath sab theek ho jaye gaa

aur waqt badal gaya

bas phhir allah naay karam kar diya aur kucch naani aur ammie kee khala kaa khandaan angraiz type gharana thaaa. mard aurtain sab kaam kartay. aurat ko insaan samjha jaata aur kabhi bhi aurton aur mardon kaay kaam ko alag alag khanon mein naa baant jaata. lahaza woh meri modelling per bhi khush hotay yahan tak kay mujhey pehli film “deewanay tere pyar ke” kee offer aa gayee. mujhey iss saay pehlay bhi film ki offers theen lekin mein naay apni job kaay dinonmein film ki loarkiyon ko bhag dor kartay huway dekha thaa isliye film nahin ki kyonkay modelling aur shoots mein model ko koi parishaani nahin dekhni parti. saaray intizamaat organizer kartay hain aur hamaray haan filmon mein aisa rawaj nahin thaa lekin jab mein naay film sign ki to mein naay filmi rawaaj saay mukhtalif andaaz mein filmi duniya mein qadam rakkha . mein shayed pehli heroine thi jiss naay baqayeda film kaa contract sign kiya aur mein nay yeh contract nabila kay zariye sign kiya thaa. mein naay nabila saay dil ki parishaani kaa izhaar bhi kiya kyonke mein filmi heroines ko dekh chuki thi kaay unkaay liye producers kitnay masayeel paida kartay hain.. tab nabila naay mujhey marriot aa kar samjhaya kaay tum agent kaay through film sign kar rahi ho iss say mujhey tasali huwee aur waqt badal gaya. mein jis filmi baaner kaay saath kaam kar rahi thi woh pakistan kaay hawalay saay kissi khawab saay kam nahin thaa. director syed noor, producer sajad gull aur writer anwar maqsood. nabila kaa bhi kehnaa thaa kaay mujhey yeh mauqa aik boht hi acchi plate mein rakkh kar mila hai. is kay baad meinkarachi aayee aur mein naay haami bhar liee. abhi musarrat waala case latak raha thha . waledain kaay liye mera yeh qadam heran kun thaa . aba chahtay thhay mslay masayel khatam ho jayen to phir mein bhi koi step loon lekin mujhey laga mein kaafi strong ho chuko hoon aur mein naay faislay karnay shrou kar diye. mein modelling kar rahi thee aur mein naay apnay chhotay bhai munna mushtaq ko fashion photography ki taraf laanay kaay baad accha photographer bantaay dekh liya thha lekin doosri taraf meray khilaaf nafrat phailayee jaa rahi thi. mera aur munay kaa naam bara baray showz ki list mein aata aur phir kat jaata. hamain samajh aa rahi thi kaay naam kon katwa deta hai?

film kaa woh pehla tajruba

ammie ki batain meray iradon ki quwat banti woh kehteen maarnay walay saay bachanay waala zyada taqatwar hai aur mujhey yaqeen ho gaya raah mein kaantay bachanay walay saay raah kaay kantay chun-nay waala zyada bharosay kaay layeq hai. meray liye film kaa saara kaam nabila naay asaan kiya meray dil mein hamesha uski izzat qadar aur pyar rahay gaa. meray liye apni pehli film kaa tajarba intihaai yaadgaar hai. jab hum shooting kayliye mauritius gaye, hamaray saath be-inteha acchi team thi. anwar maqsood aur unki begum, syed noor or rukhsana bhabhi, moammar rana aur india saay aaye huway choreographer aur unk assistand zahida. mujhey dance bilkul bhi nahin aata thha aur woh bechaari subah uth uth kar mujhey practice karwaati. mein jaanti hoon meray saath director ko bohat mehnat karni pari lekin mein naay kabhi mehnat saay ji nahin churaya. jab tak director nay ok nahin kaha tab tak mein bhi scene kaay saath scene ho jaanay kee koshis karti. jab hum log mauritius mein shooting kar rahay thhay tab mahesh bhat india saay film duplicate kaa unit laay kar aaye thaay mujhey tab india kaay unit crew aur cameroN ko daikhnaay ka ittefaq huwa. mein naay uss waqt hi jaan liya thaa kaay agar pakistan  ki film industry ko tarqi karna hai to unhain nayi technology ko apnana paray gaa. naye kameray naya sound system nayee labortries. kyon chand baray filmmakers mulk saay bahr reh kar post producton kaa kaam kar bhi lain mulk ki industry taraqi nahin kar sakti. jab tak kaay mlk kaay aam producers kayliye nayee film kee sahooliyat muhaya naa hon. khair yeh alag behas hai.mein to itnaa jaanti hoon mein naay is film mein kaam kar kaay bohat baray baray naamon saay bohat kucch seekha. jab hum pakistan waapis aaye to film kay chand scene aur aik gaana picturize hona baaqi thaa. iss film kaay baad mein syed noor hi ki aik aur film dil diwaana hai sign ki. iskaay ilawa nakhra gori da bhi aik accha tajarba saabit huwi. dar-asal mein yeh aitraaf karna chahti hoon kaay film industry agarchay zawal ki taraf jaa rahi thi magar mein naay wahan saay bohat kucch seekha syed noor sahib ki behaysiat insaan mein bohat izzat karti hoon aur ustaad ki haysiat detay huway ehteraam bhi karti hoon lekin aik mukamaal professional insaan akela industry khari nahin kar sakta albata barbad zaroor kar sakta hai. kabhi tanhai mein unko iss baray mein sochna ho gaa kyonkaay pakistanki film industry aakhri saans tak syed noor hi ki raah dekhay gi.

muaaf kar denay mein barayee hai

mein bhi issi field mein thi aur musarrat aapa bhi. pehlay mulaqat hoti to katra kar guzar jaatay lekin kucch arsa pehlay aik tv show per mileen to mujhey galay laga kar ronay lageen. mein bhi ro pari phhir mein khamosh ho gayee. woh kenay lageen dekhho kitna grow kar gayee ho kitnay hee saalon baad hum naay aik doojay ko galay lagay hai. mein to hamesha kehti hoon aik doosray ko muaaf karain aur zindagi mein aagay barhain. mein unhain bhi yehi kehti thi kaay hum bachay hain, dil saay gillay nikaal diya karain, khatayen muaaf kar diya karain. mujhey uss waqt laga mein waqi grow kar gayee hoon, jab aik tv program mein unhoon naay meray kaan mein aa kar kaha “smile kaay liye bolo”

meri zindagi kaay baray sadmay

yeh 1997 february kaay aakhri dinon kee baat hai meri film deewane ter pyar kaa aakhri gaana lambiya judai diya raatan picturize ho raha thha. aba ko heart aatck huwa aur hamara saara khandan hil kar raha gaya. abhi herat ka muamla poori tarah theek nahin huwa thha kaay aba ka accident huwa aur unka paon kharab ho gaya. aba ki bemaari naay jahan mustaqil waswasay mein daal diya waheen meray liye koi commercial yaa project chhorna muhaal thaa zahir hai apnay ghar mein bari thi aur muaashi muamlaat bhi mujhey hi dekhnay thhay. aba ki tabiyaat zara sambhli thi aur mein karachi chali gayee lekin aik phone call nay mujhey zindagi kaay sab say baray sadmay ki itilaa di. jab mein lahor pohanchi to aasman bhi meray saath ro raha thha. zor ki barishain ho rahi theen. meri nazar apnay sab saay chotay bhai ali per tik gaye thi jo abhi sirf saat saal kaa tha uss waqt ammie ko siharay ki zaroorat thi phhir mein lahor reh gayee. ammie bemaar rehnay lagi theen. isliye mein karachi shift nahin ho sakti thi. kyonke zaahir hai ab kaam ki zyada zaroorat thi aur kaam karachi  mein thaa. mujhey log karachi bulaatay lekin producers kay liye bar bar ka ticket aik azaab hota lahaza mujhey apnay masayeel apnay tor per hal karnay thhay. mein naay lahore naa chora munnna bhi kaam kar raha thha lekin jaffer, javed, jawad aur ali to abhi par rahay thay aur ammie har waqt meri shaadi ki fikar mein pareshaan rehti aur bemaar theen. mein unko samjhati ammie shaadi ho jaye gee pehlay chotay bhaiyon kaa to sochain lekin unhain kissi cheez mein dilchaspi naa thi. aam maon ki tarah har lamha jaye nimaz per meray ghar kaay basnay ki dua karteen . meray ooper hamesha maan baap ka pressure raha. aba kaay baad to ammie meray liye aur bhi qeemti ho gayen thi. mein unko koi baat nahin taalti thi. shayed unki khushi kay liye hi mein naay turkey kaay khaqan saay mangni bhi ki lekin ammie ko pata thha kay meray liye shaadi karna kis qadar dushwaar hai kyonkaay iss muqaam per main ammie aur bhaiyonn ko akela nahin chor sakti thi. ammie apni bemaari saay larti, mujhay shaadi kay liye manwaati aakhir hamain chor kar chali gayeen mein nahin jaanti log kesay apnay behan bhaiyon ko akela kar jaatay hain, jabkay meri nazrain chhotay bhai per jam kaay reh gayeen woh sirf gayarah baras kaa thha aur mujh saay maan ki judai kaa sadma nahin jhaila jaa raha thha to aisay mein iss chhotay saay bachay ko kiss kay saharay chhor deti

shadi kyon nahin ki

bohat saay log yeh sawal kartay hain kaay aakhir mein naay abhi tak shaadi kyon nahin ki to iss kaa aik seedha saa jawab to yeh hai kaay jin ko meri shaadi kaa chao thaa wohi nahin rahay magar mein yeh bhi nahin kahon gee kay mujhay zindagi mein koi pasand nahin aaya kayee log pasand aaye kabhi meri majbooriyan aaray aayen to kabhi naseeb. khaqaan saay mangni bhi ammie kaay israar per ki woh air force kaa banda thaa lekin jazbon aur jaib kaay muamlay mein thora kanjoos bhi. meinnaay uskaay saath zindagi bhar kaay saath kay liye aur aik doosray saay culture saay aag-hi kay liye turkey jaa kar uski ammie kaay saath bhi reh kar dekha.  uski maan bohat acchi aurat theen. mera khayal hai mayen acchi hi hoti hai mein nay bhi apni achhi maan ki wajah saay mangni ki thi lekin meri shaadi tak unhon naay intezaar hi nahin kiya lekin ab meray liye turkey jaa kar rehna shayed itnaa bara masla nahin thaa jitna apnay 11 sala bhai ali ko akela chhorna. meri khawahish thi kaay woh ali ko adopt karlay kyonkay mein pakistan saay door apnaly logon saay door to shayed reh leti magar ali ko akela nahin chhor sakti thi. khaqan kaay panay problems thhay woh apni maan ki wajah saay jaldi shaadi karna chahita thhaa aur paanch chhay saal baad army chhor kar pakistan shift hona chaita thha magar kal kis naay dekha hai. meray liye apni shaadi saay zyadah aiham ali thaa. bas mujhey mohabbat ka dam bharnay waalon saay aik gila zaroor hai kaay aap doosray saay to har tawaqa rakhtay hain, har qurbani chahtay hain lekin khud unkaay masayeel ko mehsoos tak nahin kartay, yeh kiya hai? meray liye woh waqt bohat mushkil thaa jab khaqan naay meray bhai ki kam umri ko nazar andaaz kiya. mein heraan thi kaay mein uski zindagi kaay har maslay ko samajh rahi thi magar jin bachon kaay maan baap nahin hotay unkaay chacha, mama bhi kahan hotay hain… meri koi lambi chori khwahishain to theen hi nahin bas yehi thaa naa kay apnay maap baap ki nishani ko kesay chor doon. uss ko agar chand saalon kaay liye adopt kar liya jaata to .. lekin khair aisa naa huwa waqt guzar gaya ab to ali bhi mashALLAH bara ho gaya hai

mardon ki nafsiyaat

mujhay kabhi kabhi bari buri tarah ehsaas hota hai key humaray muashray mein kaam karnay waali aurton ko sahi tashakhus milta hi nahin aur phir agar mil bhi jaata hai to biwiyon saay ajeeb o gharib taqazay bhi hotay hain. wesay bhi jo aurtain kamanay lagti hain unhain muashi khud mukhtaari kam saay kam itnaa zaroor sikkha deti hai kay zindagi kesay guzarni hai? unhain aisa hi samajh boojh rakhnahy waala shakhs chahiye hota hai kyon kay hamaray haan mard kaam karnay waali aurton ko pasand to kar letay hain magar taqazay shru ho jatay hain kaay kaam chor do, yeh naa karo woh naa karo. bhayi kesay kaam chhor dain? agar mard ameer hai to woh aurat ko apnay zair-e-asar karna chahita hai, agar gharib hai to conscious hota hai kaay ussay shayed kitnaay hi saal lag jayen dil ki khawahishaat poori karnay mein ab mein apnay aap ko dekhti hoon to sochti hoon kaay shadi ho gayee to din raat kaam kay baad ghrelo sakoon kayliye shohar ko lambi lambi wazahatain kon daay. akelapan isliye mehsoos nahin hota key bhai saath hain. abhi tak yeh ehsaas bhi nahin huwa kaay mein kissi kay liye apni shakhsi azadi chhor sakti hoon kyon kaay abhi tak koi aisa shakhs nahin mila jo mujhey jo hai jaisa hai ki satah per qabool kara. accha bhal pasand karnay waala mard joonhi jaanta hai key mein haan keh doon gi to woh mujhey theek karnay ki koshish shru kar deta hai. mard aapko pasand kartay hain, joonhi aap shadi kay liye tayaar ho to unhain khayal aata hai aap to kharab hain, shadi saay pehlay hi woh aurat ko theek karnay kaay chakar mein par jaatay hain. meri to samajh saay bahir hai kaay mard jab pasand kar rahay hotay hain to sab qabool hota hai, joonhi ghar bana-nay ki baat hoti hai to unhain khamiyan nazar aanay lagti hain. aakhir mard shaadi kaay badlay azaadi to naa mangain. .. mein naay satra saal ki umar saay kamana shru kiya, mein band zindagi nahin guzaar sakti. kamany waali aurat ko khoob kharach karnay ki aadat bhi hoti hai, agar uski zindagi mein ameer aadmi aa jaye to ussay naan o nufqay kaay ewaz bandh kar rakhna chahita hai yaani musalsal compromise aur zarooriyat zindagi mohaiya karnay kaa matlab ehsaan bohat bara ehsaan

meray dramay

mein jab film dil dewana hai mein kaam kar rahi thi, mein naay tab hi mehsoos kar liya thha kay film zawaal pazeer hai. isliye kaay chhotay directors saay koi tawaqa nahin thi aur acchay directors naay apni teams bana kar baqi ariston ko filmon say out karna shru kar diya thaa. tab mein naay sab saay pehlay television kay drama sign kiye. us waqt film kaay adakaron naay batain banayeen aur baad mein sab naay wahin kaam kiya. mein naay faheem burney, everready aur baqi producers kaay saath beshumaar drama sign kiye. lahore karachi, quetta tamam stations per kaam kiya aur awards liye lekin mein un funkaron ko dekh kar dil hi dil mein hansti hoon jinhon naay pehlay kaha tv per kaam kar kay jiya ali naay apni market down kar hai aur ab woh kehtay hain film ki to market hi nahin jis naay drama industry mein rehna hai ussay karachi shift hona ho gaa. mein kehti hoon lahore, karachi yaa peshawar rehnay saay kucch nahin hota. asal baat to yeh hai kaay funkaar ko perform karna aana chahiye aur har soorat ussay professional hona chahiye. lekin aaj mujhey aik aur andesha hai jissay shayed drama industry saay mansoob log hansi mein ura dain. ab jabkay pakistani media naay turkey kaay drama dub karkaay dikhanay shru kar diya hain . aik waqt aaye gaa kaay aurnay ponay daamon khareeday huway yeh turkish dramany local drama industry ko khha jayen gaay. hamaray mulk mein koi law and order nahin, mulk ki muashiyat, culture aur salamti tak ko tabah karnay bethay hain. humari parliment naay qanoon banaya kaay indian filmain nahin chalain gee. iss qanoon mein koi tabdeeli nahin huwi aur cinemas mein indian filmain zoro shor saay dikhayee jaa rahin hain

meri aakhri khawahish

mein naay zindagi mein kissi kaa bura nahin chaha, bura nahin kiya , kisi kay liye bura nahin socha, isliye mujhey yaqeen hai kaay mera khuda meray liye zindagi mein aasaniyan paida karay gaa. mein naay kabhi koi shortcut ikhtiyaar nahin kiya lekin ab meri khwahish hai kaay humaray mulk mein art aur fun kaay saath har tarah ki taaleem aam ho. ab arbab-e-ikhtiyaar apnay mulk mein logon ki demands ko samjhain, nayee cheezon nayee soch ko barhawa denay kay liye skoloon mein sahih taaleem dena shro karain. aaj art aur fun kay school shru hon gaay to das sal baad kahin jaa kar taraqi ki rah nazar aaye gi. film production ki taaleem denay walon ko producers aur financer ka farq pata chalay gaa. phhir koi pesay waala larki kaay saath waqt guzarnay kay liye film yaa drama nahin banaye gaa balkay professional log aagay aayen gaay. naye kahani kaar, naye director nayee soch, naye log… kaash! hum khawam khawah ki behsain chor kar musbat iqdaam ki shruaat karain to phir!! shayed ghar saay laay kar kaam ki jaga tak har rang badal jaye

log kesay khush reh saktay hain

mein chaar saal saay art of living ki teaching member hoon. bangalore saay shru honay waali yeh lehar insaanon ko jeena sikkhati hai, khush rehna sikhaati hai aur yoga kaay zariye stress yaani aisaabi tanao ko door kar deti hai. yeh tanzeem hindu myth ki teen so saal puraani asharm takneek kay zariye logon ki bhalayee kay liye yoga kaay zariye kaam kar rahi hai. hum apni jaib saay kharach kar kaay logon ko khuch rehnay kaay andaaz sikkhatay hain kyonkaay meray khayal mein aaj ka insaan apnay system aur apnay aap saay jo jang lar raha hai uss mein musbat rahnumayee zaroori hai. bas aajkal mein yehi kar rahi hoon, logon ko khush rehna sikkha rahi hoon

—————————–

Rashid Nazir Ali

 

Rashid Nazir Ali